Wednesday, July 13, 2011

Shaurya again...

Shaurya Kya hai ?
Thartharti is dharti ko raundti faujiyon ki ek paltan ka shor
Ya Sehme se aaasman ko cheerta hua,
Bandooko ki saalaami ka shor....

Shaurya Kya hai ?
Hari wardi per chamkte hue chand peetal ke sitare,
Ya sarhad ka naam dekar andekhi kuch lakeeron ki numaish...

Shaurya Kya hai ?
Door udate khamosh parinde ko,
Goliyon se bhoon dene ka ehsaas.
ya sholo ki barsat se pal bhar mein
Ek shehar ko shamshan bana dene ka ehsaas....

Shaurya Kya hai ?
Behti byaaas mein kisi ke garam khoon ka
Haule se surkh ho jana

Ya anjani kisi jannat ki firak mein
pal pal ka dojak bante jana....

Barodo se dhundhlaaye is aasmaan mein
Shaurya Kya hai ?
Wadiyon me goonjte kisi gaon ke maatam mein
Shaurya Kya hai ?

Shaurya
Shayad ek hausla
Shayad ek himmat
Humare bahut andar

Mazhab ke banaye dayere ko tod kar
Kisi ka haath thaam lene ki himmat
Goliyon ke betahasha shor ko
Apni khamoshi se Chunauti de pane ki himmat
Marti maarti is duniya mein nihatthe date rehne ki himmat

Shaurya Kya hai ?
aane wale kal ki khatir
Apne hisse ki Kaynat ko
Aaj bacha lene ki himmat!!